agriculture income
Sir/Madam
meri mother key naam sey 10 acer kirsi bhoomi hai meri mother income tax return file karti thi unki koi dusri income nahi thi mera business hai mey bhi file income tax mey subbmit karta hu mera younger brother bhi hai jo apna pvt kaam karta hai lekin income tax file nahi karta hai PAN card sabkey pass hai
meri mother ka dehant 2011 mey ho gaya unki file mey 7-8 lakh rupya cash in hand tha bank mey 2-4 hazar hi tha kyoki mata ji bank sign nahi kar pa rahi thi rupya cash hi ghar par rakha gaya mother ka bataidar key sath bhi ek bank account tha jo mother ko har saal imandari sey rupya deta tha mother key dehant key baad bhi bataidar key saath khata band nahi hua bataidar hum dono bhaiyo ko imandari sey paisa deta hai ab cash ho gaya 22 lakh abhi jameen hum bhaiyo ney apney naam nahi kawai hai koi jhagda bhaiyo mey bataidaar mey nahi hai ab is rupaye ko bank mey kaisey jama karey kyoki ek TAX advocate sahab ney bataya ki 2 saal ka hi income tax file hoga to hum kaisey sab kuch set karey ki koi paresani na ho mujhko english/hindi mey bhi solution dey saktey ho badi meharbani hogi
dhanyavaad